Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

tere aane ka dhoka sa raha hai

Nasir Kazmi

tere aane ka dhoka sa raha hai

Nasir Kazmi

MORE BYNasir Kazmi

    tire aane dhokā rahā hai

    diyā-sā rāt-bhar jaltā rahā hai

    'ajab hai raat se āñkhoñ 'ālam

    ye dariyā rāt-bhar chaḌhtā rahā hai

    sunā hai raat bhar barsā hai bādal

    magar vo shahar jo pyāsā rahā hai

    vo koī dost thā achchhe dinoñ

    jo pichhlī raat se yaad aa rahā hai

    kise DhūñDhoge un galiyoñ meñ 'nāsir'

    chalo ab ghar chaleñ din rahā hai

    tere aane ka dhoka sa raha hai

    diya-sa raat-bhar jalta raha hai

    'ajab hai raat se aankhon ka 'alam

    ye dariya raat-bhar chaDhta raha hai

    suna hai raat bhar barsa hai baadal

    magar wo shahar jo pyasa raha hai

    wo koi dost tha achchhe dinon ka

    jo pichhli raat se yaad aa raha hai

    kise DhunDhoge un galiyon mein 'nasir'

    chalo ab ghar chalen din ja raha hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Abida Parveen

    Abida Parveen

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now