aai sada ye kanon mein to dekhta nahin
aa.ī sadā ye kānoñ meñ to dekhtā nahīñ
jis ko tū DhūñDhtā hai vo tujh se judā nahīñ
farmān-e-nahnu-’aqrab hai qur.ān meñ likhā
shāh-rag se bhī nazdīk hai tujh ko patā nahīñ
jā kar kisī ’ārif se sunūñ mas.al-e-vahdat
kyuuñ ziist ko khotā hai kahā māntā nahīñ
gar haq kī talab hai tujhe ho shaiḳh kā tālib
rasta faqr kā hāsil juz rāh-numā nahīñ
she'r-o-sukHan ne kar diyā mash.hūr ai 'niyāz'
vo kaun bashar hai jo tujhe jāntā nahīñ
aai sada ye kanon mein to dekhta nahin
jis ko tu DhunDhta hai wo tujh se juda nahin
farman-e-nahnu-’aqrab hai quran mein likha
shah-rag se bhi nazdik hai tujh ko pata nahin
ja kar kisi ’arif se sunun masal-e-wahdat
kyun zist ko khota hai kaha manta nahin
gar haq ki talab hai tujhe ho shaiKH ka talib
rasta faqr ka hasil juz rah-numa nahin
she'r-o-sukHan ne kar diya mashhur ai 'niyaz'
wo kaun bashar hai jo tujhe jaanta nahin
- Book : Kalam-e-Niyaz Urf Nala-e-Firaq (Pg. 2)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.