karata hun sajda yar ko subhan samajh kar
karatā huuñ sajda yaar ko sub.hān samajh kar
kāfir hai be-shak jo kare insān samajh kar
sūrat-e-sanam ko dekh kar lākhoñ hue majnūñ
jis ne tilāvat kī miyāñ qur.ān samajh kar
tasbīh ko toḌ pheñk kar zunnār gale Daalā
rakhtā huuñ bahut shauq se īmān samajh kar
tum jaano yā na jaano ai yaar nāznīn
dil de diyā hai tujh ko mehrbān samajh kar
nāz-o-adā se yaar vo bolā 'niyāz' se
kyā tū ne ġhazal ḳhuub likhī shaan samajh kar
karata hun sajda yar ko subhan samajh kar
kafir hai be-shak jo kare insan samajh kar
surat-e-sanam ko dekh kar lakhon hue majnun
jis ne tilawat ki miyan quran samajh kar
tasbih ko toD phenk kar zunnar gale Dala
rakhta hun bahut shauq se iman samajh kar
tum jaano ya na jaano ai yar naznin
dil de diya hai tujh ko mehrban samajh kar
naz-o-ada se yar wo bola 'niyaz' se
kya tu ne ghazal KHub likhi shan samajh kar
- Book : Kalam-e-Niyaz Urf Nala-e-Firaq (Pg. 9)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.