main bhul gaya tujh mein mehrab-e-KHuda-KHana
maiñ bhuul gayā tujh meñ mehrāb-e-ḳhudā-ḳhāna
ai sajda-gah-e-'ālam ai abrū-e-jānāna
vo jalva-e-mastāna vo zulf-e-pas-e-shāna
barbād kun-e-kā۔ba ġhārat-gar-e-but-kHāna
paimāna kahāñ tak hai ai sāqī-e-mai-ḳhāna
ham ne to nahīñ paa.ī ab tak tah-e-paimāna
pahuñchā diyā saaqī ne pāyān haqīqat tak
paimāna ba-paimāna mai-kHāna ba-mai-kHāna
tū husn ke jalvoñ par thā ḳhandāñ ba-zer-e-lab
ab thaam zarā dil ko ai zāhid-e-farzāna
tabdīl huā merī gul-gasht fazā merī
ik 'ishq kā afsāna ik husn kā kāshāna
ik vajd Tapaktā hai har lafz-e-mohabbat se
hai sher 'nushūr' āḳhir kis husn kā afsāna
main bhul gaya tujh mein mehrab-e-KHuda-KHana
ai sajda-gah-e-'alam ai abru-e-jaanana
wo jalwa-e-mastana wo zulf-e-pas-e-shana
barbaad kun-e-ka۔ba ghaarat-gar-e-but-kHana
paimana kahan tak hai ai saqi-e-mai-KHana
hum ne to nahin pai ab tak tah-e-paimana
pahuncha diya saqi ne payan haqiqat tak
paimana ba-paimana mai-kHana ba-mai-kHana
tu husn ke jalwon par tha KHandan ba-zer-e-lab
ab tham zara dil ko ai zahid-e-farzana
tabdil hua meri gul-gasht faza meri
ek 'ishq ka afsana ek husn ka kashana
ek wajd Tapakta hai har lafz-e-mohabbat se
hai sher 'nushur' aaKHir kis husn ka afsana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.