o sanam tere na aane ki qasam khata hun main
o sanam tere na aane ki qasam khata hun main
Ghulam Moinuddin Gilani
MORE BYGhulam Moinuddin Gilani
o sanam tere na aane kī qasam khātā huuñ maiñ
is dil-e-betāb ko din-rāt samjhātā huuñ maiñ
kaisī āñkheñ pher liiñ anjān kaise ban ga.e
dekh kar un kī taraf hairān ho jaatā huuñ maiñ
duur hote hote āḳhir duur itne ho ga.e
dil meñ rakh kar phir bhī un ko duur hī paatā huuñ maiñ
aap apnī aañkh se aakar kisī din dekh leñ
abr-e-naisāñ kī tarah barsāt barsātā huuñ maiñ
jab ki milne kī koī sūrat nazar aatī nahīñ
le ke phir tasvīr in kī dil ko bahlātā huuñ maiñ
kyā karūñ us ke sivā kuchh aur to hotā nahīñ
yaad jab aate haiñ vo aañsū bahā letā huuñ maiñ
vo gile-shikve ga.e vo pyaar kī bāteñ ga.iiñ
ab to un ko duur se hī dekhtā rahtā huuñ maiñ
rasm-e-ulfat toḌ kar qat-e'-ta'alluq kar liyā
aise logoñ se mohabbat kar ke pachhtātā huuñ maiñ
kyā kahūñ kis se kahūñ ab kaun suntā hai mirī
jis taraf bhī dekhtā huuñ ġhair hī paatā huuñ maiñ
kuchh to batlā de zarā āḳhir mu'amma hai ye kyā
sāmne aate haiñ vo bechain ho jaatā huuñ maiñ
is chaman kī har kalī har phuul har har rañg meñ
husn-e-mutlaq kā karishma dekhtā jaatā huuñ maiñ
yād-e-rafta dil meñ le ke us kī bazm-e-nāz meñ
dil dabā.e sar jhukā.e yuuñ chalā jaatā huuñ maiñ
ḳhuub hī achchhā kahā 'mushtāq' jis ne ye kahā
bevafā kahte haiñ tujh ko aur sharmātā huuñ maiñ
o sanam tere na aane ki qasam khata hun main
is dil-e-betab ko din-raat samjhata hun main
kaisi aankhen pher lin anjaan kaise ban gae
dekh kar un ki taraf hairan ho jata hun main
dur hote hote aaKHir dur itne ho gae
dil mein rakh kar phir bhi un ko dur hi pata hun main
aap apni aankh se aakar kisi din dekh len
abr-e-naisan ki tarah barsat barsata hun main
jab ki milne ki koi surat nazar aatī nahin
le ke phir taswir in ki dil ko bahlata hun main
kya karun us ke siwa kuchh aur to hota nahin
yaad jab aate hain wo aansu baha leta hun main
wo gile-shikwe gae wo pyar ki baaten gain
ab to un ko dur se hi dekhta rahta hun main
rasm-e-ulfat toD kar qat-e'-ta'alluq kar liya
aise logon se mohabbat kar ke pachhtata hun main
kya kahun kis se kahun ab kaun sunta hai meri
jis taraf bhi dekhta hun ghair hi pata hun main
kuchh to batla de zara aaKHir mu'amma hai ye kya
samne aate hain wo bechain ho jata hun main
is chaman ki har kali har phul har har rang mein
husn-e-mutlaq ka karishma dekhta jata hun main
yaad-e-rafta dil mein le ke us ki bazm-e-naz mein
dil dabae sar jhukae yun chala jata hun main
KHub hi achchha kaha 'mushtaq' jis ne ye kaha
bewafa kahte hain tujh ko aur sharmata hun main
- Book : Asrar-ul-Mushtaq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.