chahta usko hun jis ka koi jawab nahin
Interesting Fact
دوسرا شعر جلیلؔ مانک پوری کا ہے۔
chāhtā us ko huuñ jis kā koī javāb nahīñ
ye intiḳhāb bhī mā’mūlī intiḳhāb nahīñ
nigāh barq nahīñ chehra āftāb nahīñ
vo aadmī hai magar dekhne kī taab nahīñ
tum apne mus.haf-e-ruḳh kā mutāle.a karne do
ki is kitāb se behtar koī kitāb nahīñ
qasam ḳhudā kī ḳhudā bhī ye saaf kahtā hai
merā javāb to tū hai terā javāb nahīñ
chahta us ko hun jis ka koi jawab nahin
ye intiKHab bhi ma’muli intiKHab nahin
nigah barq nahin chehra aaftab nahin
wo aadmi hai magar dekhne ki tab nahin
tum apne mushaf-e-ruKH ka mutalea karne do
ki is kitab se behtar koi kitab nahin
qasam KHuda ki KHuda bhi ye saf kahta hai
mera jawab to tu hai tera jawab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.