phir kuchh ek dil ko be-qarārī hai
phir kuchh ik dil ko be-qarārī hai
siina juyā-e-zaḳhm-e-kārī hai
phir jigar khodne lagā nāḳhun
āmad-e-fasl-e-lāla-kārī hai
qibala-e-maqsad-e-nigāh-e-niyāz
phir vahī parda-e-amārī hai
chashm dallāl-e-jins-e-rusvā.ī
dil ḳharīdār-e-zauq-e-ḳhvārī hai
vahī sad-rañg nāla-farsā.ī
vahī sad-gona ashk-bārī hai
dil havā-e-ḳhirām-e-nāz se phir
mahsharistān-e-be-qarārī hai
jalva phir arz-e-nāz kartā hai
roz bāzār-e-jāñ-sipārī hai
phir usī bevafā pe marte haiñ
phir vahī zindagī hamārī hai
phir khulā hai dar-e-adālat-e-nāz
garm-bāzār-e-faujdārī hai
ho rahā hai jahān meñ andher
zulf kī phir sirishta-dārī hai
phir diyā pāra-e-jigar ne savāl
ek fariyād o āh-o-zārī hai
phir hue haiñ gavāh-e-ishq talab
ashk-bārī kā hukm-jārī hai
dil o mizhgāñ kā jo muqaddama thā
aaj phir us kī rū-bakārī hai
be-ḳhudī be-sabab nahīñ 'ġhālib'
kuchh to hai jis kī parda-dārī hai
phir kuchh ek dil ko be-qarārī hai
sina juyā-e-zaḳhm-e-kārī hai
phir jigar khodne lagā nāḳhun
āmad-e-fasl-e-lāla-kārī hai
qibala-e-maqsad-e-nigāh-e-niyāz
phir wahī parda-e-amārī hai
chashm dallāl-e-jins-e-ruswāī
dil ḳharīdār-e-zauq-e-ḳhwārī hai
wahī sad-rañg nāla-farsāī
wahī sad-gona ashk-bārī hai
dil hawā-e-ḳhirām-e-nāz se phir
mahsharistān-e-be-qarārī hai
jalwa phir arz-e-nāz kartā hai
roz bāzār-e-jāñ-sipārī hai
phir usī bewafā pe marte haiñ
phir wahī zindagī hamārī hai
phir khulā hai dar-e-adālat-e-nāz
garm-bāzār-e-faujdārī hai
ho rahā hai jahān meñ andher
zulf kī phir sirishta-dārī hai
phir diyā pāra-e-jigar ne sawāl
ek fariyād o āh-o-zārī hai
phir hue haiñ gawāh-e-ishq talab
ashk-bārī kā hukm-jārī hai
dil o mizhgāñ kā jo muqaddama thā
aaj phir us kī rū-bakārī hai
be-ḳhudī be-sabab nahīñ 'ġhālib'
kuchh to hai jis kī parda-dārī hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.