phir mujhe dīda-e-tar yaad aayā
phir mujhe dīda-e-tar yaad aayā
dil jigar tishna-e-faryād aayā
dam liyā thā na qayāmat ne hanūz
phir tirā vaqt-e-safar yaad aayā
sādgī-hā-e-tamannā ya.anī
phir vo nairañg-e-nazar yaad aayā
uzr-e-vāmāndagī ai hasrat-e-dil
naala kartā thā jigar yaad aayā
zindagī yuuñ bhī guzar hī jaatī
kyuuñ tirā rāhguzar yaad aayā
kyā hī rizvāñ se laḌā.ī hogī
ghar tirā ḳhuld meñ gar yaad aayā
aah vo jur.at-e-fariyād kahāñ
dil se tañg aa ke jigar yaad aayā
phir tire kūche ko jaatā hai ḳhayāl
dil-e-gum-gashta magar yaad aayā
koī vīrānī sī vīrānī hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayā
maiñ ne majnūñ pe laḌakpan meñ 'asad'
sañg uThāyā thā ki sar yaad aayā
vasl meñ hijr kā Dar yaad aayā
ain jannat meñ saqar yaad aayā
phir mujhe dīda-e-tar yaad aayā
dil jigar tishna-e-faryād aayā
dam liyā thā na qayāmat ne hanūz
phir tirā waqt-e-safar yaad aayā
sādgī-hā-e-tamannā yanī
phir wo nairañg-e-nazar yaad aayā
uzr-e-wāmāndagī ai hasrat-e-dil
nala kartā thā jigar yaad aayā
zindagī yuñ bhī guzar hī jatī
kyuñ tirā rāhguzar yaad aayā
kyā hī rizwāñ se laḌāī hogī
ghar tirā ḳhuld meñ gar yaad aayā
aah wo jurat-e-fariyād kahāñ
dil se tañg aa ke jigar yaad aayā
phir tere kūche ko jatā hai ḳhayāl
dil-e-gum-gashta magar yaad aayā
koī wīrānī sī wīrānī hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayā
maiñ ne majnūñ pe laḌakpan meñ 'asad'
sañg uThāyā thā ki sar yaad aayā
wasl meñ hijr kā Dar yaad aayā
ain jannat meñ saqar yaad aayā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.