phir mujhe dida-e-tar yaad aaya
phir mujhe dīda-e-tar yaad aayā
dil jigar tishna-e-fariyād aayā
dam liyā thā na qayāmat ne hanūz
phir tirā vaqt-e-safar yaad aayā
sādgī-hā-e-tamannā yā'nī
phir vo nairañg-e-nazar yaad aayā
’uzr-e-vāmāndagī ai hasrat-e-dil
naala kartā thā jigar yaad aayā
zindagī yuuñ bhī guzar hī jaatī
kyuuñ tirā rāhguzar guzar yaad aayā
kyā hī rizvāñ se laḌā.ī hogī
ghar tirā ḳhuld meñ gar yaad aayā
aah vo jur.at-e-fariyād kahāñ
dil se tañg aa ke jigar yaad aayā
phir tire kūche ko jaatā hai ḳhayāl
dil-e-gum-gashta magar yaad aayā
koī vīrānī sī vīrānī hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayā
maiñ ne majnūñ pe laḌakpan meñ 'asad'
sañg uThāyā thā ki sar yaad aayā
vasl meñ hijr kā Dar yaad aayā
'ain jannat meñ saqar yaad aayā
phir mujhe dida-e-tar yaad aaya
dil jigar tishna-e-fariyaad aaya
dam liya tha na qayamat ne hanuz
phir tera waqt-e-safar yaad aaya
sadgi-ha-e-tamanna ya'ni
phir wo nairang-e-nazar yaad aaya
’uzr-e-wamandagi ai hasrat-e-dil
nala karta tha jigar yaad aaya
zindagi yun bhi guzar hi jati
kyun tera rahguzar guzar yaad aaya
kya hi rizwan se laDai hogi
ghar tera KHuld mein gar yaad aaya
aah wo jurat-e-fariyaad kahan
dil se tang aa ke jigar yaad aaya
phir tere kuche ko jata hai KHayal
dil-e-gum-gashta magar yaad aaya
koi virani si virani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aaya
main ne majnun pe laDakpan mein 'asad'
sang uThaya tha ki sar yaad aaya
wasl mein hijr ka Dar yaad aaya
'ain jannat mein saqar yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.