phirun DhunDta mai-kada tauba tauba mujhe aaj-kal itni fursat nahin hai
phirun DhunDta mai-kada tauba tauba mujhe aaj-kal itni fursat nahin hai
Fana Bulandshahri
MORE BYFana Bulandshahri
phirūñ DhūñDtā mai-kada tauba tauba mujhe āj-kal itnī fursat nahīñ hai
salāmat rahe terī āñkhoñ kī mastī mujhe mai-kashī kī zarūrat nahīñ hai
ye tark-e-ta.alluq kā kyā tazkira hai tumhāre sivā koī apnā nahīñ hai
agar tum kaho to maiñ ḳhud ko bhulā duuñ tumheñ bhuul jaane kī tāqat nahīñ hai
hamesha mire sāmne se guzarnā nigāheñ churā kar mujhe dekh lenā
mirī jaan tum mujh ko itnā batā do ye kyā chiiz hai gar mohabbat nahīñ hai
hazāroñ tamannā.eñ hotī haiñ dil meñ hamārī to bas ik tamannā yahī hai
mujhe ik dafa apnā kah ke pukāro bas is ke sivā koī hasrat nahīñ hai
phirun DhunDta mai-kada tauba tauba mujhe aaj-kal itni fursat nahin hai
salamat rahe teri aankhon ki masti mujhe mai-kashi ki zarurat nahin hai
ye tark-e-talluq ka kya tazkira hai tumhaare siwa koi apna nahin hai
agar tum kaho to main KHud ko bhula dun tumhein bhul jaane ki taqat nahin hai
hamesha mere samne se guzarna nigahen chura kar mujhe dekh lena
meri jaan tum mujh ko itna bata do ye kya chiz hai gar mohabbat nahin hai
hazaron tamannaen hoti hain dil mein hamari to bas ek tamanna yahi hai
mujhe ek dafa apna kah ke pukaro bas is ke siwa koi hasrat nahin hai
- Book : Kulliyat-e-Fana Bulandshahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.