jo kafan bandh ke sar se guzre
jo kafan bāñdh ke sar se guzre
vo tirī rāhguzar se guzre
dil se guzre ki jigar se guzre
ham ko kyā koī jidhar se guzre
un meñ shāmil thā mire dil kā lahū
ashk jo dīda-e-tar se guzre
rāste band balā ke pahre
koī guzre to kidhar se guzre
aur koī na jachā āñkhoñ meñ
aap hī aap nazar se guzre
dīda-o-dil pe qiyāmat guzrī
ban-sañvar kar vo jidhar se guzre
rok ashkoñ kā ye sailāb 'nasīr'
is se pahle ki ye sar se guzre
jo kafan bandh ke sar se guzre
wo teri rahguzar se guzre
dil se guzre ki jigar se guzre
hum ko kya koi jidhar se guzre
un mein shamil tha mere dil ka lahu
ashk jo dida-e-tar se guzre
raste band bala ke pahre
koi guzre to kidhar se guzre
aur koi na jacha aankhon mein
aap hi aap nazar se guzre
dida-o-dil pe qiyamat guzri
ban-sanwar kar wo jidhar se guzre
rok ashkon ka ye sailab 'nasir'
is se pahle ki ye sar se guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.