baat dekhi hai faqat aap ke diwanon mein
baat dekhi hai faqat aap ke diwanon mein
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
baat dekhī hai faqat aap ke dīvānoñ meñ
kuud paḌte haiñ machalte hue tūfānoñ meñ
sāmne aake jo vo sharm se rū-posh hue
ek halchal sī machā dī mire armānoñ meñ
allāh allāh ye tire husn-e-fusūñ-gar kī kashish
but bhī sajde ko haiñ betāb sanam-ḳhānoñ meñ
hañs ke chheḌe na koī aap ke dīvānoñ ko
ye qiyāmat liye baiThe haiñ garebānoñ meñ
mai-e-gul-rañg kā ik jaam hameñ bhī ho atā
ham bhī haiñ sāqī-e-daurāñ tire mastānoñ meñ
munqalib ho ga.e hālāt ba-yak chashm-e-zadan
kal yagāne jo the vo aaj haiñ begānoñ meñ
mubda-e-faiz ne baḳhshī vo mujhe tab-e-rasā
naam apnā bhī 'nasīr' ab hai suḳhan-dānoñ meñ
baat dekhi hai faqat aap ke diwanon mein
kud paDte hain machalte hue tufanon mein
samne aake jo wo sharm se ru-posh hue
ek halchal si macha di mere armanon mein
allah allah ye tere husn-e-fusun-gar ki kashish
but bhi sajde ko hain betab sanam-KHanon mein
hans ke chheDe na koi aap ke diwanon ko
ye qiyamat liye baiThe hain garebanon mein
mai-e-gul-rang ka ek jam hamein bhi ho ata
hum bhi hain saqi-e-dauran tere mastanon mein
munqalib ho gae haalat ba-yak chashm-e-zadan
kal yagane jo the wo aaj hain beganon mein
mubda-e-faiz ne baKHshi wo mujhe tab-e-rasa
nam apna bhi 'nasir' ab hai suKHan-danon mein
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 891)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.