zulm hum par har-an hote hain
zulm ham par har-ān hote haiñ
raat din imtihān hote haiñ
aap se kyā koī tavaqqo.a ho
aap kab mehrbān hote haiñ
husn kī sādgī kā kyā kahnā
'ishq par sau gumān hote haiñ
koī un ko miTā nahīñ saktā
ġham ke aise nishān hote haiñ
zulm sahte haiñ kuchh nahīñ kahte
ahl-e-dil be-zabān hote haiñ
dīda-o-dil kī aabrū aañsū
ġham ke ye tarjumān hote haiñ
aap ko be-vafā kahā kis ne
aap kyuuñ bad-gumān hote haiñ
barq tinke vahī jalātī hai
jo nasheman kī jaan hote haiñ
itnā āsāñ nahīñ hai 'ishq 'nasīr'
is meñ sau imtihān hote haiñ
zulm hum par har-an hote hain
raat din imtihan hote hain
aap se kya koi tawaqqoa ho
aap kab mehrban hote hain
husn ki sadgi ka kya kahna
'ishq par sau guman hote hain
koi un ko miTa nahin sakta
gham ke aise nishan hote hain
zulm sahte hain kuchh nahin kahte
ahl-e-dil be-zaban hote hain
dida-o-dil ki aabru aansu
gham ke ye tarjuman hote hain
aap ko be-wafa kaha kis ne
aap kyun bad-guman hote hain
barq tinke wahi jalati hai
jo nasheman ki jaan hote hain
itna aasan nahin hai 'ishq 'nasir'
is mein sau imtihan hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.