ye kaam humne junun mein kiya kiya na kiya
ye kaam humne junun mein kiya kiya na kiya
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
ye kaam ham ne junūñ meñ kiyā kiyā na kiyā
huā jo chaak garebāñ siyā siyā na siyā
vufūr-e-shauq meñ kyā e'tibār sāñsoñ kā
rahā rahā na rahā maiñ jiyā jiyā na jiyā
ham aate jaate rahe mai-kade meñ shām-o-sahar
sharīk-e-jām kisī ne kiyā kiyā na kiyā
piyāla haath meñ lenā hī mai-gusārī hai
balā se ghūñT jo ham ne piyā piyā na piyā
hamārā farz to ye hai ke ham gila na kareñ
sila vafāoñ kā us ne diyā diyā na diyā
tamām 'umr hasīnoñ ko TuuT kar chāhā
unhoñ ne naam hamārā liyā liyā na liyā
salām-e-shauq kiyā jab koī milā ham ko
javāb chāhe kisī ne diyā diyā na diyā
chale bhī aa.iye kal kā kuchh e'tibār nahīñ
marīz-e-hijr sahr tak jiyā jiyā na jiyā
ham apnī manzil-e-maqsūd kī lagan meñ rahe
hamārā saath kisī ne diyā diyā na diyā
ḳhudā gavāh mohabbat to kī vafā na sahī
ye ek zahr kā piyāla piyā piyā na piyā
'nasīr' ḳhair se ho jā.egī hayāt basar
kisī kā ham ne sahārā liyā liyā na liyā
ye kaam hum ne junun mein kiya kiya na kiya
hua jo chaak gareban siya siya na siya
wufur-e-shauq mein kya e'tibar sanson ka
raha raha na raha main jiya jiya na jiya
hum aate jate rahe mai-kade mein sham-o-sahar
sharik-e-jam kisi ne kiya kiya na kiya
piyala hath mein lena hi mai-gusari hai
bala se ghunT jo hum ne piya piya na piya
hamara farz to ye hai ke hum gila na karen
sila wafaon ka us ne diya diya na diya
tamam 'umr hasinon ko TuT kar chaha
unhon ne nam hamara liya liya na liya
salam-e-shauq kiya jab koi mila hum ko
jawab chahe kisi ne diya diya na diya
chale bhi aaiye kal ka kuchh e'tibar nahin
mariz-e-hijr sahr tak jiya jiya na jiya
hum apni manzil-e-maqsud ki lagan mein rahe
hamara sath kisi ne diya diya na diya
KHuda gawah mohabbat to ki wafa na sahi
ye ek zahr ka piyala piya piya na piya
'nasir' KHair se ho jaegi hayat basar
kisi ka hum ne sahaara liya liya na liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.