Font by Mehr Nastaliq Web

putla-e-kHak mein hai bhed chhupa kya kahiye

Tasadduq Ali Asad

putla-e-kHak mein hai bhed chhupa kya kahiye

Tasadduq Ali Asad

MORE BYTasadduq Ali Asad

    putla-e-kHāk meñ hai bhed chhupā kyā kahiye

    khol deñ phir to ho ik shor bapā kyā kahiye

    ham hoñ mā'dūm jahāñ aap hoñ mumkin nahīñ

    kab ziyā shams se hotī hai judā kyā kahiye

    tum ko chhoḌ deñ ḳhud ko ham kho baiTheñ

    itnī baat meñ miltā hai patā kyā kahiye

    kaun zāhir hai sivā aap ke jab maiñ ne kahā

    ho ga.e phir to ḳhafā ho ke kyā kahiye

    hashr tak hosh meñ ham aa nahīñ sakte haiñ 'asad'

    chuke saaqī se vo jām-e-fanā kyā kahiye

    putla-e-kHak mein hai bhed chhupa kya kahiye

    khol den phir to ho ek shor bapa kya kahiye

    hum hon ma'dum jahan aap hon mumkin hi nahin

    kab ziya shams se hoti hai juda kya kahiye

    tum ko hi chhoD den ya KHud ko hi hum kho baiThen

    itni hi baat mein milta hai pata kya kahiye

    kaun zahir hai siwa aap ke jab main ne kaha

    ho gae phir to KHafa ho ke kya kahiye

    hashr tak hosh mein hum aa nahin sakte hain 'asad'

    pi chuke saqi se wo jam-e-fana kya kahiye

    Source :
    • Book : Rooh-e-Sama, Part 2 (Pg. 430)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now