qaid-o-itlaq ka naqab uTha
qaid-o-itlāq kā naqāb uThā
be-hijābī uThā hijāb uThā
kis adā se tirā hijāb uThā
farq-e-taskīn-o-iztirāb uThā
thī fanā hī mirā maqām magar
na rahe tum bhī jab hijāb uThā
haq-o-bātil kā imtiyāz ye hai
imtiyāzāt ke hijāb uThā
ḳhāksārī bhī hai riyā-kārī
hastī-e-ġhair kā naqāb uThā
sab pe afsurdagī huī taarī
bazm se 'maikash'-e-ḳharāb uThā
qaid-o-itlaq ka naqab uTha
be-hijabi uTha hijab uTha
kis ada se tera hijab uTha
farq-e-taskin-o-iztirab uTha
thi fana hi mera maqam magar
na rahe tum bhi jab hijab uTha
haq-o-baatil ka imtiyaz ye hai
imtiyazat ke hijab uTha
KHaksari bhi hai riya-kari
hasti-e-ghair ka naqab uTha
sab pe afsurdagi hui tari
bazm se 'maikash'-e-KHarab uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.