aansu kisi ka dekh ki bimar mar gaya
aañsū kisī kā dekh ki bīmār mar gayā
jām-e-hayāt ek hī qatre meñ bhar gayā
chhoḌo vafā kā naam vafādār mar gayā
tum jis havā meñ ho vo zamāna badal gayā
sayyād dekh lī kashish-e-mausam-e-bahār kī
uḌ uḌ ke baaġh meñ mirā ek ek par gayā
dekhā na tum ne aañkh uThā kar bhī bazm meñ
aañsū to meñ na thā jo nazar se utar gayā
vaqt aa gayā hai yaar ke vā'de kā ai 'qamar'
dekho vo āsmān sitāroñ se bhar gayā
aansu kisi ka dekh ki bimar mar gaya
jam-e-hayat ek hi qatre mein bhar gaya
chhoDo wafa ka nam wafadar mar gaya
tum jis hawa mein ho wo zamana badal gaya
sayyaad dekh li kashish-e-mausam-e-bahaar ki
uD uD ke bagh mein mera ek ek par gaya
dekha na tum ne aankh uTha kar bhi bazm mein
aansu to mein na tha jo nazar se utar gaya
waqt aa gaya hai yar ke wa'de ka ai 'qamar'
dekho wo aasman sitaron se bhar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.