maza jab hai ki apni yun basar ho
mazā jab hai ki apnī yuuñ basar ho
haram meñ shaam taiba meñ sahar ho
'ibādat ho to aisī mo'atabar ho
ki merā sar nabī kā sañg-e-dar ho
koī tā'rīf us kī kyā karegā
ḳhudā kā jo ki manzūr-e-nazar ho
udhar kā'ba idhar kā'be kā kā'ba
batā vā'iz mirā sajda kidhar ho
'qamar' yuuñ to nabī saare qamar haiñ
magar jo sāhib-e-shaqqul-qamar ho
maza jab hai ki apni yun basar ho
haram mein sham taiba mein sahar ho
'ibaadat ho to aisi mo'atabar ho
ki mera sar nabi ka sang-e-dar ho
koi ta'rif us ki kya karega
KHuda ka jo ki manzur-e-nazar ho
udhar ka'ba idhar ka'be ka ka'ba
bata wa'iz mera sajda kidhar ho
'qamar' yun to nabi sare qamar hain
magar jo sahib-e-shaqqul-qamar ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.