ho gai un se mohabbat ho gai
ho ga.ī un se mohabbat ho ga.ī
un kī marzī merī qismat ho ga.ī
chupke-chupke dil se karnā guftugū
terī furqat meñ ye 'ādat ho ga.ī
aarzū tak miT ga.ī ummīd kyā
merī hastī vaqf-e-hasrat ho ga.ī
ġhair kī jānib ye nazar-e-iltifāt
ḳhair hai kyuuñ ham se nafrat ho ga.ī
haañ unheñ bezār rahnā chāhiye
merī sūrat ġham kī sūrat ho ga.ī
kar diyā ḳhāmosh 'rā'nā' yaas ne
āh-o-zārī kab kī ruḳhsat ho ga.ī
ho gai un se mohabbat ho gai
un ki marzi meri qismat ho gai
chupke-chupke dil se karna guftugu
teri furqat mein ye 'adat ho gai
aarzu tak miT gai ummid kya
meri hasti waqf-e-hasrat ho gai
ghair ki jaanib ye nazar-e-iltifat
KHair hai kyun hum se nafrat ho gai
han unhen bezar rahna chahiye
meri surat gham ki surat ho gai
kar diya KHamosh 'ra'na' yas ne
aah-o-zari kab ki ruKHsat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.