har aah tabassum ban jae har ashk sitara ho jae
har aah tabassum ban jaa.e har ashk sitāra ho jaa.e
duniyā hī badal jaa.e apnī gar un kā ishāra ho jaa.e
maanā ki mohabbat kī raah meñ har gaam pe sau-sau ḳhatre haiñ
lekin ye safar āsān bhī hai gar saath tumhārā ho jaa.e
vo saaz alam-añgez huuñ maiñ vallāh agar maiñ chhiḌ jā.ūñ
kaunain kā siina phaT jaa.e dil pāra-pāra ho jaa.e
takmīl-e-mohabbat kī ḳhātir kyā-kyā na kiyā ham ne 'āzam'
mumkin hai ab ke kahne par marnā bhī gavāra ho jaa.e
har aah tabassum ban jae har ashk sitara ho jae
duniya hi badal jae apni gar un ka ishaara ho jae
mana ki mohabbat ki rah mein har gam pe sau-sau KHatre hain
lekin ye safar aasan bhi hai gar sath tumhaara ho jae
wo saz alam-angez hun main wallah agar main chhiD jaun
kaunain ka sina phaT jae dil para-para ho jae
takmil-e-mohabbat ki KHatir kya-kya na kiya hum ne 'azam'
mumkin hai ab ke kahne par marna bhi gawara ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.