har jaur-o-sitam jis ko gawara nahin hota

har jaur-o-sitam jis ko gawara nahin hota
Ghulam Moinuddin Gilani
MORE BYGhulam Moinuddin Gilani
har jaur-o-sitam jis ko gavārā nahīñ hotā
vo chāhne vaalā hī tumhārā nahīñ hotā
jis se unheñ manzūr kināra nahīñ hotā
ġhamza nahīñ hotā ki ishāra nahīñ hotā
allāh re us vaqt tirī yaad kā 'ālam
jis vaqt koī aur sahārā nahīñ hotā
ab zindagī-e-rafta na rah rah ke pukāre
uThnā mujhe is dar se to gavārā nahīñ hotā
tū ne to mire dam pe banā dī dil-e-betāb
aisā bhī koī chaah kā maarā nahīñ hotā
apne bhī hue jis kī mohabbat meñ parā.e
vo phir bhī kisī tarh hamārā nahīñ hotā
jo dam bhī hasīnoñ meñ nikal jaa.e vo behtar
aanā kabhī duniyā meñ dobāra nahīñ hotā
sāhil kī bahut fikr na kar ai dil-e-kam-zarf
bahr-e-ġham-e-ulfat kā kināra nahīñ hotā
āġhosh-e-tamannā meñ to hote haiñ vo aksar
āñkhoñ hī ko dīdār kā yaarā nahīñ hotā
mash.hūr haiñ kyā aap masīhā-e-zamāna
'mushtāq' hī bechāre kā chārā nahīñ hotā
har jaur-o-sitam jis ko gawara nahin hota
wo chahne wala hi tumhaara nahin hota
jis se unhen manzur kinara nahin hota
ghamza nahin hota ki ishaara nahin hota
allah re us waqt teri yaad ka 'alam
jis waqt koi aur sahaara nahin hota
ab zindagi-e-rafta na rah rah ke pukare
uThna mujhe is dar se to gawara nahin hota
tu ne to mere dam pe bana di dil-e-betab
aisa bhi koi chah ka mara nahin hota
apne bhi hue jis ki mohabbat mein parae
wo phir bhi kisi tarh hamara nahin hota
jo dam bhi hasinon mein nikal jae wo behtar
aana kabhi duniya mein dobara nahin hota
sahil ki bahut fikr na kar ai dil-e-kam-zarf
bahr-e-gham-e-ulfat ka kinara nahin hota
aaghosh-e-tamanna mein to hote hain wo aksar
aankhon hi ko didar ka yara nahin hota
mashhur hain kya aap masiha-e-zamana
'mushtaq' hi bechaare ka chaara nahin hota
- Book : Asrar-ul-Mushtaque
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.