main isi mein shadman hun mujhe ab yahi hai karna
maiñ isī meñ shādmāñ huuñ mujhe ab yahī hai karnā
terī aarzū meñ jiinā terī justujū meñ marnā
kabhī dil ko thaam lenā kabhī un ko yaad karnā
merī zindagī kā hāsil hai taḌap-taḌap ke marnā
vo hasīn shab kā manzar vo tulū’-e-sub.h-e-mahshar
tere be-naqāb ruḳh par terī zulf kā bikharnā
maiñ ġharīq-e-bahr-e-ġham thā ye kisī ko kyā ḳhabar thī
terā mauj ban ke aanā merā Duub kar ubharnā
ḳhanjar uThā ke mujh ko zālim ne dhamkiyāñ diiñ
ki merī jafā ke shikve pesh-e-ḳhudā na karnā
tujhe nāma-bar qasam hai vahīñ din se raat karnā
kabhī in se baat karnā kabhī un se baat karnā
tujhe nāma-bar qasam hai vahīñ din se raat karnā
koī ek baat pūchhe to hazār baat karnā
tere kūche har bahāne mujhe din se raat karnā
kabhī in se baat karnā kabhī un se baat karnā
main isi mein shadman hun mujhe ab yahi hai karna
teri aarzu mein jina teri justuju mein marna
kabhi dil ko tham lena kabhi un ko yaad karna
meri zindagi ka hasil hai taDap-taDap ke marna
wo hasīn shab ka manzar wo tulu’-e-subh-e-mahshar
tere be-naqab ruKH par teri zulf ka bikharna
main ghariq-e-bahr-e-gham tha ye kisi ko kya KHabar thi
tera mauj ban ke aana mera Dub kar ubharna
KHanjar uTha ke mujh ko zalim ne dhamkiyan din
ki meri jafa ke shikwe pesh-e-KHuda na karna
tujhe nama-bar qasam hai wahin din se raat karna
kabhi in se baat karna kabhi un se baat karna
tujhe nama-bar qasam hai wahin din se raat karna
koi ek baat puchhe to hazar baat karna
tere kuche har bahane mujhe din se raat karna
kabhi in se baat karna kabhi un se baat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.