aawaz kisi ki hai ye barbat ki nahin hai
āvāz kisī kī hai ye barbat kī nahīñ hai
is parde meñ poshīda koī parda-nashīñ hai
sunte the ki us yaar kā ghar 'arsh-e-barīñ hai
dekhā jo vahāñ jā ke makāñ hai na makīñ hai
tum ḳhud se guzar jaao to tai ho ga.ī manzil
vo charḳh-e-barīñ par hai nā vo zer-e-zamīñ hai
bāzār tirā ham ne kiyā garm-e-dukān par
be-sūd hai saudā jo ḳharīdār nahīñ hai
mā-zāġh kā surma hai āñkheñ bhī khulī haiñ
bāzār meñ baiThā hai magar gosha-nashīñ hai
zarre-zarre meñ chamak kar phir nazar aatā nahīñ
jalva-gar kā jalva-gar rū-posh kā rū-posh hai
aawaz kisi ki hai ye barbat ki nahin hai
is parde mein poshida koi parda-nashin hai
sunte the ki us yar ka ghar 'arsh-e-barin hai
dekha jo wahan ja ke makan hai na makin hai
tum KHud se guzar jao to tai ho gai manzil
wo charKH-e-barin par hai na wo zer-e-zamin hai
bazar tera hum ne kiya garm-e-dukan par
be-sud hai sauda jo KHaridar nahin hai
ma-zagh ka surma hai aankhen bhi khuli hain
bazar mein baiTha hai magar gosha-nashin hai
zarre-zarre mein chamak kar phir nazar aata nahin
jalwa-gar ka jalwa-gar ru-posh ka ru-posh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.