Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

diya hota kisi ko dil to hoti qadr bhi dil ki

Unknown

diya hota kisi ko dil to hoti qadr bhi dil ki

Unknown

diyā hotā kisī ko dil to hotī qadr bhī dil

haqīqat pochhiye kar kisī bismil se bismil

faroġh-e-husn-e-jānāñ se baḌhī zīnat jo mahfil

tajallī dast-e-hasrat mil rahī thī māh-e-kāmil

patiñgoñ tarah uḌne lagīñ chiñgāriyāñ dil

ḳhudā jaane kahāñ le jā.egī vahshat mere dil

maiñ ḳhud gum-karda manzil huuñ ḳhabar kyā mujh ko manzil

na niklī hai na niklegī kabhī hasrat mere dil

sahar hone ko hai fariyād hai ye sham'-e-mahfil

ilāhī jalne vāloñ ke to dil meñ rah ga.ī dil

hifāzat apne imkāñ tak to maiñ ne ḳhuub dil

rakhī barsoñ talak jaisī bhī thī achchhī barī dil

magar afsos kaisī aa ga.ī bad-qismatī dil

huī bhī to huī kis be-vafā se dil lagī dil

milā kar ḳhaak meñ jis ne ḳhabar tak bhī na dil

kahāñ se lā.ūñ vo dil vo kalejā vo zabāñ bedam

jo us ujḌe hue dil kahūñ afsāna-e-pur-ġham

kabhī ābādiyāñ thiiñ us meñ ab to hai 'ālam

adā-o-nāz chashm-e-shokHī aur gesu-e-pur-ḳham

unhīñ ġhārat-garoñ ne mil ke bastī luuT dil

diya hota kisi ko dil to hoti qadr bhi dil ki

haqiqat pochhiye ja kar kisi bismil se bismil ki

farogh-e-husn-e-jaanan se baDhi zinat jo mahfil ki

tajalli dast-e-hasrat mil rahi thi mah-e-kaamil ki

patingon ki tarah uDne lagin chingariyan dil ki

KHuda jaane kahan le jaegi wahshat mere dil ki

main KHud gum-karda manzil hun KHabar kya mujh ko manzil ki

na nikli hai na niklegi kabhi hasrat mere dil ki

sahar hone ko hai fariyaad hai ye sham'-e-mahfil ki

ilahi jalne walon ke to dil mein rah gai dil ki

hifazat apne imkan tak to main ne KHub ki dil ki

rakhi barson talak jaisi bhi thi achchhi bari dil ki

magar afsos kaisi aa gai bad-qismati dil ki

hui bhi to hui kis be-wafa se dil lagi dil ki

mila kar KHak mein jis ne KHabar tak bhi na li dil ki

kahan se laun wo dil wo kaleja wo zaban bedam

jo us ujDe hue dil ka kahun afsana-e-pur-gham

kabhi aabaadiyan thin us mein ab to hu ka hai 'alam

ada-o-naz chashm-e-shokHi aur gesu-e-pur-KHam

unhin ghaarat-garon ne mil ke basti luT li dil ki

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Haji Mehboob Ali

Haji Mehboob Ali

This content features in following collection(s)

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now