Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

zaban-e-jalwa se hai goya jahan ka sara nigar-KHana

Kamil Shattari

zaban-e-jalwa se hai goya jahan ka sara nigar-KHana

Kamil Shattari

zabān-e-jalva se hai goyā jahāñ saarā nigār-ḳhāna

fasāna-e-ġhair ik haqīqat haqīqat-e-ġhair ik fasāna

hamārī duniyā badal ke rakh nazar milnā huā bahāna

udhar nigāheñ milīñ kisī se idhar ye dil ban gayā nishāna

gunāhgāroñ pe hañsne vaalo na yuuñ kisī mazāq uḌaao

na jaane hisse meñ kis ke aa.e ḳhudā rahmat shāmiyāna

janāb-e-vā'iz hamārī laġhzish hamārī had tak vabāl hogī

qadam tumhāre jo Dagmagā.eñ to Dagmagā jā.egā zamāna

tirī mohabbat meñ zindagī hai usī meñ kuchh lutf-e-bandagī hai

baḌe maze se guzar rahī hai hamārā sar terā āstāna

tumhāre har nāvik-e-nigah ko ham apne dil meñ biThā leñge

hamārā zimma idhar to dekho ḳhatā na hogā koī nishāna

bas ik tirī ḳhvājgī Tikī hai hamāre me'yār-e-bandagī par

mazāq-e-sajda bhī itnā ūñchā buland hai jitnā āstāna

jab us ne dekhā to uThe ham nazar phirā to mar ga.e ham

'ajab tamāshe zindagī hai abhī haqīqat abhī fasāna

shabāb-e-gulshan nisār tum par fidā hai har ik bahār tum par

siyāh gesū ghanī ghaTā.eñ nashīlī āñkheñ sharāb-ḳhāna

kahāñ dil kaisī jaan sāhib yahāñ to īmān pe aa banī hai

ki husn ḳhud mustaqil qayāmat phir us pe andāz-e-kāfirāna

kalām-e-‘kāmil’ shohratoñ sabab faqat un se rabt-o-nisbat

ġhazal ke har she'r par hai gahrā chaḌhā huā rañg-e-’āshiqāna

zaban-e-jalwa se hai goya jahan ka sara nigar-KHana

fasana-e-ghair ek haqiqat haqiqat-e-ghair ek fasana

hamari duniya badal ke rakh di nazar ka milna hua bahana

udhar nigahen milin kisi se idhar ye dil ban gaya nishana

gunahgaron pe hansne walo na yun kisi ka mazaq uDao

na jaane hisse mein kis ke aae KHuda ki rahmat ka shamiyana

janab-e-wa'iz hamari laghzish hamari had tak wabaal hogi

qadam tumhaare jo Dagmagaen to Dagmaga jaega zamana

teri mohabbat mein zindagi hai usi mein kuchh lutf-e-bandagi hai

baDe maze se guzar rahi hai hamara sar tera aastana

tumhaare har nawik-e-nigah ko hum apne dil mein biTha hi lenge

hamara zimma idhar to dekho KHata na hoga koi nishana

bas ek teri KHwajgi Tiki hai hamare me'yar-e-bandagi par

mazaq-e-sajda bhi itna uncha buland hai jitna aastana

jab us ne dekha to ji uThe hum nazar phira li to mar gae hum

'ajab tamashe ki zindagi hai abhi haqiqat abhi fasana

shabab-e-gulshan nisar tum par fida hai har ek bahaar tum par

siyah gesu ghani ghaTaen nashili aankhen sharab-KHana

kahan ka dil kaisi jaan sahib yahan to iman pe aa bani hai

ki husn KHud mustaqil qayamat phir us pe andaz-e-kafirana

kalam-e-‘kaamil’ ki shohraton ka sabab faqat un se rabt-o-nisbat

ghazal ke har she'r par hai gahra chaDha hua rang-e-’ashiqana

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Haji Mehboob Ali

Haji Mehboob Ali

Source :
  • Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 280)

This content features in following collection(s)

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now