hai misr meñ shohrā terī shīrīñ-dahnī kā
dam band laboñ se hai 'aqīq-e-yamanī kā
tū qasd karegā na mirī dil-shikanī kā
hai paas barābar tujhe muhtāj-o-ġhanī kā
tārāj kiyā kishvar-e-dil terī nigah ne
lapkā na sipāhī ko paḌe rāh-zanī kā
munsif ho agar dīda-e-insāf se dekhe
gul naam na le aage tire gul-badanī kā
khul jāvegā zuhhād pe rindoñ kā taqaddus
mausam to qarīb aane do tauba-shikanī kā
mizhgāñ tirī phir karne lagīñ ḳhuun diloñ kā
aañ turkoñ ko phir shauq huā ārā-zanī kā
yād-e-durr-e-dandāñ meñ ga.ī jaan mirī 'rind'
taqdīr ne kushta kiyā hiire kī kanī kā
hai misr mein shohra teri shirin-dahni ka
dam band labon se hai 'aqiq-e-yamani ka
tu qasd karega na meri dil-shikani ka
hai pas barabar tujhe muhtaj-o-ghani ka
taraj kiya kishwar-e-dil teri nigah ne
lapka na sipahi ko paDe rah-zani ka
munsif ho agar dida-e-insaf se dekhe
gul nam na le aage tere gul-badani ka
khul jawega zuhhad pe rindon ka taqaddus
mausam to qarib aane do tauba-shikani ka
mizhgan teri phir karne lagin KHun dilon ka
aan turkon ko phir shauq hua aara-zani ka
yaad-e-durr-e-dandan mein gai jaan meri 'rind'
taqdir ne kushta kiya hire ki kani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.