yaad unki dil mein rahti hai aur hijr ki raaten hoti hain
yaad unki dil mein rahti hai aur hijr ki raaten hoti hain
Riyaz Suhrawardi
MORE BYRiyaz Suhrawardi
yaad un kī dil meñ rahtī hai aur hijr kī rāteñ hotī haiñ
āñkheñ yuuñ jham-jham rotī haiñ jaise barsāteñ hotī haiñ
hote haiñ jab vo tasavvur meñ aur 'ishq kā ġhalba hotā hai
lab hote haiñ chup āñkheñ sākit hairat hai ki bāteñ hotī haiñ
manzūr jise chāheñ vo kareñ dekhā hai ye 'ishq kī duniyā meñ
pūchhā nahīñ jaatā nām-o-nasab mā'lūm na zāteñ hotīñ haiñ
mahdūd nahīñ hai un kā karam par baḳhshish un ke haath kī hai
jitnā jise chāheñ kar deñ 'atā ye apnī barāteñ hotīñ haiñ
dīdār kī daulat luTtī hai aur saa.il aate jaate haiñ
kis shaan se un ke kūche meñ ai dil ḳhairāteñ hotīñ haiñ
hote haiñ jab vo tasavvur meñ aur 'ishq kā ġhalba hotā hai
lab hote haiñ chup āñkheñ sākit hairat hai ki bāteñ hotīñ haiñ
maut aa.e ‘riyāz’-e-kHasta-jigar ai kaash mohabbat meñ un kī
sunte haiñ ki aise marne meñ poshīda hayāteñ hotīñ haiñ
yaad un ki dil mein rahti hai aur hijr ki raaten hoti hain
aankhen yun jham-jham roti hain jaise barsaten hoti hain
hote hain jab wo tasawwur mein aur 'ishq ka ghalba hota hai
lab hote hain chup aankhen sakit hairat hai ki baaten hoti hain
manzur jise chahen wo karen dekha hai ye 'ishq ki duniya mein
puchha nahin jata nam-o-nasab ma'lum na zaten hotin hain
mahdud nahin hai un ka karam par baKHshish un ke hath ki hai
jitna jise chahen kar den 'ata ye apni baraaten hotin hain
didar ki daulat luTti hai aur sail aate jate hain
kis shan se un ke kuche mein ai dil KHairaaten hotin hain
hote hain jab wo tasawwur mein aur 'ishq ka ghalba hota hai
lab hote hain chup aankhen sakit hairat hai ki baaten hotin hain
maut aae ‘riyaz’-e-kHasta-jigar ai kash mohabbat mein un ki
sunte hain ki aise marne mein poshida hayaten hotin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.