ru-e-rangin nazar aaya to chaman bhul gae
rū-e-rañgīñ nazar aayā to chaman bhuul ga.e
sūñgh kar zulf kī bū mushk-e-ḳhutan bhuul ga.e
ḳhvāb meñ dekh liye jab lab-o-dandān-e-nabī
la’al kā dhyān gayā durr-e-'adan bhuul ga.e
naa't goī meñ hue mahv to paayā vo maza
mā-sivā us ke kul aqsām-e-sukHan bhuul ga.e
kū-e-taiba meñ jo aa pahuñche 'anādil uḌ kar
dekh kar rañg-e-fazā yād-e-chaman bhuul ga.e
dar-badar ho ke dar-e-shāh pe jab jā pahuñche
ġham ġhalat ho gayā sab rañj-o-mehan bhuul ga.e
rauza-e-pāk pe pahuñche to ye ThanDak pahuñchī
soz-e-furqat na rahā dil kī jalan bhuul ga.e
'ishq-e-sarvar ne ye tāsīr dikhā.ī 'fā.iq'
sū-e-taiba jo chale hubb-e-vatan bhuul ga.e
ru-e-rangin nazar aaya to chaman bhul gae
sungh kar zulf ki bu mushk-e-KHutan bhul gae
KHwab mein dekh liye jab lab-o-dandan-e-nabi
la’al ka dhyan gaya durr-e-'adan bhul gae
na't goi mein hue mahw to paya wo maza
ma-siwa us ke kul aqsam-e-sukHan bhul gae
ku-e-taiba mein jo aa pahunche 'anadil uD kar
dekh kar rang-e-faza yaad-e-chaman bhul gae
dar-badar ho ke dar-e-shah pe jab ja pahunche
gham ghalat ho gaya sab ranj-o-mehan bhul gae
rauza-e-pak pe pahunche to ye ThanDak pahunchi
soz-e-furqat na raha dil ki jalan bhul gae
'ishq-e-sarwar ne ye tasir dikhai 'faiq'
su-e-taiba jo chale hubb-e-watan bhul gae
- Book : Armaghan-e-Faaeq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.