sadgi to hamari zara dekhiye etibar aap ke wade par kar liya
sadgi to hamari zara dekhiye etibar aap ke wade par kar liya
Saba Akbarabadi
MORE BYSaba Akbarabadi
sādgī to hamārī zarā dekhiye e'tibār aap ke va.ade par kar liyā
baat to sirf ik raat kī thī magar intizār aap kā 'umr bhar kar liyā
'ishq meñ uljhaneñ pahle hī kam na thiiñ aur paidā nayā dard-e-sar kar liyā
log Darte haiñ qātil kī parchhā.īñ se ham ne qātil ke dil meñ bhī ghar kar liyā
zikr ik be-vafā aur sitam-gar kā thā aap kā aisī bātoñ se kyā vāsta
aap to be-vafā aur sitam-gar nahīñ aap ne kis liye muñh udhar kar liyā
zindagī bhar ke shikve gile the bahut vaqt itnā kahāñ thā ki dohrāte ham
ek hichkī meñ kah Daalī sab dāstāñ ham ne qisse ko yuuñ muḳhtasar kar liyā
be-qarārī milegī mujhe na sukūñ chain chhin jā.egā niiñd uḌ jā.egī
apnā anjām sab ham ko ma.alūm thā aap se dil kā saudā magar kar liyā
zindagī ke safar meñ bahut duur tak jab koī dost aayā na ham ko nazar
ham ne ghabrā ke tanhā.iyoñ se 'sabā' ek dushman ko ḳhud ham-safar kar liyā
sadgi to hamari zara dekhiye e'tibar aap ke wade par kar liya
baat to sirf ek raat ki thi magar intizar aap ka 'umr bhar kar liya
'ishq mein uljhanen pahle hi kam na thin aur paida naya dard-e-sar kar liya
log Darte hain qatil ki parchhain se hum ne qatil ke dil mein bhi ghar kar liya
zikr ek be-wafa aur sitam-gar ka tha aap ka aisi baaton se kya wasta
aap to be-wafa aur sitam-gar nahin aap ne kis liye munh udhar kar liya
zindagi bhar ke shikwe gile the bahut waqt itna kahan tha ki dohraate hum
ek hichki mein kah Dali sab dastan hum ne qisse ko yun muKHtasar kar liya
be-qarari milegi mujhe na sukun chain chhin jaega nind uD jaegi
apna anjam sab hum ko malum tha aap se dil ka sauda magar kar liya
zindagi ke safar mein bahut dur tak jab koi dost aaya na hum ko nazar
hum ne ghabra ke tanhaiyon se 'saba' ek dushman ko KHud ham-safar kar liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.