sab kahāñ kuchh lāla-o-gul meñ numāyāñ ho gaiñ
sab kahāñ kuchh lāla-o-gul meñ numāyāñ ho ga.iiñ
ḳhaak meñ kyā sūrateñ hoñgī ki pinhāñ ho ga.iiñ
yaad thiiñ ham ko bhī rañgā-rañg bazm-ārā.īyāñ
lekin ab naqsh-o-nigār-e-tāq-e-nisyāñ ho ga.iiñ
thiiñ banāt-un-nāsh-e-gardūñ din ko parde meñ nihāñ
shab ko un ke jī meñ kyā aa.ī ki uryāñ ho ga.iiñ
qaid meñ yāqūb ne lī go na yūsuf kī ḳhabar
lekin āñkheñ rauzan-e-dīvār-e-zindāñ ho ga.iiñ
sab raqīboñ se hoñ nā-ḳhush par zanān-e-misr se
hai zuleḳhā ḳhush ki mahv-e-māh-e-kan.āñ ho ga.iiñ
jū-e-ḳhūñ āñkhoñ se bahne do ki hai shām-e-firāq
maiñ ye samjhūñgā ki sham.eñ do farozāñ ho ga.iiñ
in parī-zādoñ se leñge ḳhuld meñ ham intiqām
qudrat-e-haq se yahī hūreñ agar vaañ ho ga.iiñ
niiñd us kī hai dimāġh us kā hai rāteñ us kī haiñ
terī zulfeñ jis ke baazū par pareshāñ ho ga.iiñ
maiñ chaman meñ kyā gayā goyā dabistāñ khul gayā
bulbuleñ sun kar mire naale ġhazal-ḳhvāñ ho ga.iiñ
vo nigāheñ kyuuñ huī jaatī haiñ yā-rab dil ke paar
jo mirī kotāhī-e-qismat se mizhgāñ ho ga.iiñ
bas-ki rokā maiñ ne aur siine meñ ubhrīñ pai-ba-pai
merī aaheñ baḳhiya-e-chāk-e-garebāñ ho ga.iiñ
vaañ gayā bhī maiñ to un kī gāliyoñ kā kyā javāb
yaad thiiñ jitnī duā.eñ sarf-e-darbāñ ho ga.iiñ
jāñ-fizā hai baada jis ke haath meñ jaam aa gayā
sab lakīreñ haath kī goyā rag-e-jāñ ho ga.iiñ
ham muvahhid haiñ hamārā kesh hai tark-e-rūsūm
millateñ jab miT ga.iiñ ajzā-e-īmāñ ho ga.iiñ
rañj se ḳhūgar huā insāñ to miT jaatā hai rañj
mushkileñ mujh par paḌīñ itnī ki āsāñ ho ga.iiñ
yuuñ hī gar rotā rahā 'ġhālib' to ai ahl-e-jahāñ
dekhnā in bastiyoñ ko tum ki vīrāñ ho ga.iiñ
sab kahāñ kuchh lāla-o-gul meñ numāyāñ ho gaiñ
ḳhak meñ kyā sūrateñ hoñgī ki pinhāñ ho gaiñ
yaad thiñ hum ko bhī rañgā-rañg bazm-ārāīyāñ
lekin ab naqsh-o-nigār-e-tāq-e-nisyāñ ho gaiñ
thiñ banāt-un-nāsh-e-gardūñ din ko parde meñ nihāñ
shab ko un ke jī meñ kyā aaī ki uryāñ ho gaiñ
qaid meñ yāqūb ne lī go na yūsuf kī ḳhabar
lekin āñkheñ rauzan-e-dīwār-e-zindāñ ho gaiñ
sab raqīboñ se hoñ nā-ḳhush par zanān-e-misr se
hai zuleḳhā ḳhush ki mahw-e-māh-e-kanāñ ho gaiñ
jū-e-ḳhūñ āñkhoñ se bahne do ki hai shām-e-firāq
maiñ ye samjhūñgā ki shameñ do farozāñ ho gaiñ
in parī-zādoñ se leñge ḳhuld meñ hum intiqām
qudrat-e-haq se yahī hūreñ agar wañ ho gaiñ
niñd us kī hai dimāġh us kā hai rāteñ us kī haiñ
terī zulfeñ jis ke bazū par pareshāñ ho gaiñ
maiñ chaman meñ kyā gayā goyā dabistāñ khul gayā
bulbuleñ sun kar mere nale ġhazal-ḳhwāñ ho gaiñ
wo nigāheñ kyuñ huī jatī haiñ yā-rab dil ke par
jo mirī kotāhī-e-qismat se mizhgāñ ho gaiñ
bas-ki rokā maiñ ne aur sine meñ ubhrīñ pai-ba-pai
merī aaheñ baḳhiya-e-chāk-e-garebāñ ho gaiñ
wañ gayā bhī maiñ to un kī gāliyoñ kā kyā jawāb
yaad thiñ jitnī duāeñ sarf-e-darbāñ ho gaiñ
jāñ-fizā hai baada jis ke hath meñ jam aa gayā
sab lakīreñ hath kī goyā rag-e-jāñ ho gaiñ
hum muwahhid haiñ hamārā kesh hai tark-e-rūsūm
millateñ jab miT gaiñ ajzā-e-īmāñ ho gaiñ
rañj se ḳhūgar huā insāñ to miT jatā hai rañj
mushkileñ mujh par paḌīñ itnī ki āsāñ ho gaiñ
yuñ hī gar rotā rahā 'ġhālib' to ai ahl-e-jahāñ
dekhnā in bastiyoñ ko tum ki wīrāñ ho gaiñ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.