Font by Mehr Nastaliq Web

kya dil kahun dilbar kahun ya jaan kahun ya kya kahun

Sadiq Ali Shah

kya dil kahun dilbar kahun ya jaan kahun ya kya kahun

Sadiq Ali Shah

MORE BYSadiq Ali Shah

    kyā dil kahūñ dilbar kahūñ yā jaañ kahūñ yā kyā kahūñ

    yā man kahūñ mohan kahūñ jānāñ kahūñ yā kyā kahūñ

    kyā tiin hai kyā pāñch-o-chhe kyā saat nau bārah hai kyā

    ma.arūf yā 'ārif kahūñ 'irfāñ kahūñ yā kyā kahūñ

    kyā 'arsh hai kyā farsh hai yā shaḳhs hai yā 'aks hai

    dozaḳh kahūñ jannat kahūñ rizvāñ kahūñ yā kyā kahūñ

    yā hai marīz-e-'ishq tū yā hai hakīm-e-dard-mañd

    marham kahūñ yā dard yā darmāñ kahūñ yā kyā kahūñ

    yā dair yā ka.aba kahūñ kāfir kahūñ muslim kahūñ

    hairat meñ huuñ kyā kufr yā īmāñ kahūñ yā kyā kahūñ

    'sādiq' kahūñ yā ḳhair yā kāzib kahūñ yā shar kahūñ

    daanā kahūñ yā nā kahūñ nādāñ kahūñ yā kyā kahūñ

    kya dil kahun dilbar kahun ya jaan kahun ya kya kahun

    ya man kahun mohan kahun jaanan kahun ya kya kahun

    kya tin hai kya panch-o-chhe kya sat nau barah hai kya

    maruf ya 'arif kahun 'irfan kahun ya kya kahun

    kya 'arsh hai kya farsh hai ya shaKHs hai ya 'aks hai

    dozaKH kahun jannat kahun rizwan kahun ya kya kahun

    ya hai mariz-e-'ishq tu ya hai hakim-e-dard-mand

    marham kahun ya dard ya darman kahun ya kya kahun

    ya dair ya kaba kahun kafir kahun muslim kahun

    hairat mein hun kya kufr ya iman kahun ya kya kahun

    'sadiq' kahun ya KHair ya kazib kahun ya shar kahun

    dana kahun ya na kahun nadan kahun ya kya kahun

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now