aaj ruThe hue sajan ko bahut yaad kiya
aaj rūThe hue sājan ko bahut yaad kiyā
apne ujḌe hue gulshan ko bahut yaad kiyā
jab kabhī gardish-e-taqdīr ne gherā hai hameñ
gesū-e-yār kī uljhan ko bahut yaad kiyā
sham.a kī jot pe jalte hue parvānoñ ne
ik tire sho'la-e-dāman ko bahut yaad kiyā
jis ke māthe pe na.ī sub.h kā jhūmar hogā
ham ne us vaqt kī dulhan ko bahut yaad kiyā
aaj TuuTe hue sapnoñ kī bahut yaad aa.ī hai
aaj biite hue sāvan ko bahut yaad kiyā
ham sar-e-tūr bhī māyūs-e-tajallī hī rahe
us dar-e-yār kī chilman ko bahut yaad kiyā
mutma.in ho hī ga.e dām-o-qafas meñ 'sāġhar'
ham asīroñ ne nasheman ko bahut yaad kiyā
aaj ruThe hue sajan ko bahut yaad kiya
apne ujDe hue gulshan ko bahut yaad kiya
jab kabhi gardish-e-taqdir ne ghera hai hamein
gesu-e-yar ki uljhan ko bahut yaad kiya
shama ki jot pe jalte hue parwanon ne
ek tere sho'la-e-daman ko bahut yaad kiya
jis ke mathe pe nai subh ka jhumar hoga
hum ne us waqt ki dulhan ko bahut yaad kiya
aaj TuTe hue sapnon ki bahut yaad aai hai
aaj bite hue sawan ko bahut yaad kiya
hum sar-e-tur bhi mayus-e-tajalli hi rahe
us dar-e-yar ki chilman ko bahut yaad kiya
mutmain ho hi gae dam-o-qafas mein 'saghar'
hum asiron ne nasheman ko bahut yaad kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.