sahar qarib hai taron ka haal kya hoga
sahar qarīb hai tāroñ kā haal kyā hogā
ab intizār ke māroñ kā haal kyā hogā
tirī nigāh ne zālim kabhī hai ye sochā
tirī nigāh ke māroñ kā haal kyā hogā
muqābla hai tire husn kā bahāroñ se
na jaane aaj bahāroñ kā haal kyā hogā
naqāb un kā ulaTnā to chāhtā huuñ magar
bigaḌ ga.e to nazāroñ kā haal kyā hogā
mazāq-e-dīd hī 'sahbā' agar badal jaa.e
to zindagī kī bahāroñ kā haal kyā hogā
sahar qarib hai taron ka haal kya hoga
ab intizar ke maron ka haal kya hoga
teri nigah ne zalim kabhi hai ye socha
teri nigah ke maron ka haal kya hoga
muqabla hai tere husn ka bahaaron se
na jaane aaj bahaaron ka haal kya hoga
naqab un ka ulaTna to chahta hun magar
bigaD gae to nazaron ka haal kya hoga
mazaq-e-did hi 'sahba' agar badal jae
to zindagi ki bahaaron ka haal kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.