sar jhukaya to patthar sanam ban gae ishq bhaTka to KHud aashna ho gaya
sar jhukaya to patthar sanam ban gae ishq bhaTka to KHud aashna ho gaya
Fana Bulandshahri
MORE BYFana Bulandshahri
Interesting Fact
بہ روایت رشید اختر نوشاہی قوال۔
sar jhukāyā to patthar sanam ban ga.e 'ishq bhaTkā to ḳhud āshnā ho gayā
rashk karatā hai kā'ba mere kufr par maiñ ne jis but ko puujā ḳhudā ho gayā
dikh rahī hai ki me'arāj hai 'ishq kī ai junūñ bol manzil hai ye kaun sī
un ke ghar kā patā pūchhte-pūchhte pūchhne vaalā ḳhud lāpatā ho gayā
vaqt ahbāb parchhā.īñ sūraj kiran log duniyā ḳhushī zindagī chāñdnī
mere mahbūb ik tere ġham ke sivā jo milā rāste meñ judā ho gayā
maiñ mohabbat se muñh moḌ letā agar TuuT paḌtī ye bijlī kisī aur par
mere dil kī tabāhī se ye to huā kam se kam dūsroñ kā bhalā ho gayā
kārobār-e-tamannā meñ ye to huā un ke qadmoñ meñ marne kā mauqa' milā
zindagī-bhar to ghāTā uThāte rahe aaj pahlī daf.a fā.eda ho gayā
aisā bhaTkā ki lauTā nahīñ aaj tak aisā bichhḌā ki aayā nahīñ aaj tak
dil ye kam-baḳht hai is qadar ai 'fanā' aap ke ghar gayā aap kā ho gayā
sar jhukaya to patthar sanam ban gae 'ishq bhaTka to KHud aashna ho gaya
rashk karata hai ka'ba mere kufr par main ne jis but ko puja KHuda ho gaya
dikh rahi hai ki me'araj hai 'ishq ki ai junun bol manzil hai ye kaun si
un ke ghar ka pata puchhte-puchhte puchhne wala KHud lapata ho gaya
waqt ahbab parchhain suraj kiran log duniya KHushi zindagi chandni
mere mahbub ek tere gham ke siwa jo mila raste mein juda ho gaya
main mohabbat se munh moD leta agar TuT paDti ye bijli kisi aur par
mere dil ki tabahi se ye to hua kam se kam dusron ka bhala ho gaya
karobar-e-tamanna mein ye to hua un ke qadmon mein marne ka mauqa' mila
zindagi-bhar to ghaTa uThate rahe aaj pahli dafa faeda ho gaya
aisa bhaTka ki lauTa nahin aaj tak aisa bichhDa ki aaya nahin aaj tak
dil ye kam-baKHt hai is qadar ai 'fana' aap ke ghar gaya aap ka ho gaya
- Book : Kulliyat-e-Fana Bulandshahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.