sar jis pe na jhuk jae use dar nahin kahte
sar jis pe na jhuk jaa.e use dar nahīñ kahte
har dar par jo jhuk jaa.e use sar nahīñ kahte
kyā tujh ko jahāñ vaale sitam-gar nahīñ kahte
kahte to haiñ lekin tire muñh par nahīñ kahte
kā'be meñ har ik sajde ko kahte haiñ 'ibādat
mai-ḳhāne meñ har jaam ko sāġhar nahīñ kahte
kā'be meñ musalmāñ ko bhī kah dete haiñ kāfir
mai-ḳhāne meñ kāfir ko bhī kāfir nahīñ kahte
sar jis pe na jhuk jae use dar nahin kahte
har dar par jo jhuk jae use sar nahin kahte
kya tujh ko jahan wale sitam-gar nahin kahte
kahte to hain lekin tere munh par nahin kahte
ka'be mein har ek sajde ko kahte hain 'ibaadat
mai-KHane mein har jam ko saghar nahin kahte
ka'be mein musalman ko bhi kah dete hain kafir
mai-KHane mein kafir ko bhi kafir nahin kahte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.