satāish-gar hai zāhid is qadar jis bāġh-e-rizwāñ kā
satā.ish-gar hai zāhid is qadar jis bāġh-e-rizvāñ kā
vo ik guldasta hai ham be-ḳhudoñ ke tāq-e-nisyāñ kā
bayāñ kyā kījiye be-dād-e-kāvish-hā-e-mizhgāñ kā
ki har yak qatra-e-ḳhūñ daana hai tasbīh-e-marjāñ kā
na aa.ī satvat-e-qātil bhī maane mere nāloñ ko
liyā dāñtoñ meñ jo tinkā huā resha niyastāñ kā
dikhā.ūñgā tamāshā dī agar fursat zamāne ne
mirā har dāġh-e-dil ik tuḳhm hai sarv-e-charāġhāñ kā
kiyā ā.īna-ḳhāne kā vo naqsha tere jalve ne
kare jo partav-e-ḳhurshīd aalam shabnamistāñ kā
mirī ta.amīr meñ muzmar hai ik sūrat ḳharābī kī
hayūlā barq-e-ḳhirman kā hai ḳhūn-e-garm dahqāñ kā
ugā hai ghar meñ har sū sabza vīrānī tamāshā kar
madār ab khodne par ghaas ke hai mere darbāñ kā
ḳhamoshī meñ nihāñ ḳhūñ-gashta lākhoñ ārzūeñ haiñ
charāġh-e-murdā huuñ maiñ be-zabāñ gor-e-ġharībāñ kā
hanūz ik partav-e-naqsh-e-ḳhayāl-e-yār baaqī hai
dil-e-afsurda goyā hujra hai yūsuf ke zindāñ kā
baġhal meñ ġhair kī aaj aap sote haiñ kahīñ varna
sabab kyā ḳhvāb meñ aa kar tabassum-hā-e-pinhāñ kā
nahīñ ma.alūm kis kis kā lahū paanī huā hogā
qayāmat hai sarishk-ālūda honā terī mizhgāñ kā
nazar meñ hai hamārī jāda-e-rāh-e-fanā 'ġhālib'
ki ye shīrāza hai aalam ke ajzā-e-pareshāñ kā
satāish-gar hai zāhid is qadar jis bāġh-e-rizwāñ kā
wo ek guldasta hai hum be-ḳhudoñ ke tāq-e-nisyāñ kā
bayāñ kyā kījiye be-dād-e-kāwish-hā-e-mizhgāñ kā
ki har yak qatra-e-ḳhūñ dana hai tasbīh-e-marjāñ kā
na aaī satwat-e-qātil bhī mane mere nāloñ ko
liyā dāñtoñ meñ jo tinkā huā resha niyastāñ kā
dikhāūñgā tamāshā dī agar fursat zamāne ne
mirā har dāġh-e-dil ek tuḳhm hai sarw-e-charāġhāñ kā
kiyā āīna-ḳhāne kā wo naqsha tere jalwe ne
kare jo partaw-e-ḳhurshīd aalam shabnamistāñ kā
mirī tamīr meñ muzmar hai ek sūrat ḳharābī kī
hayūlā barq-e-ḳhirman kā hai ḳhūn-e-garm dahqāñ kā
ugā hai ghar meñ har sū sabza wīrānī tamāshā kar
madār ab khodne par ghas ke hai mere darbāñ kā
ḳhamoshī meñ nihāñ ḳhūñ-gashta lākhoñ ārzūeñ haiñ
charāġh-e-murdā huñ maiñ be-zabāñ gor-e-ġharībāñ kā
hanūz ek partaw-e-naqsh-e-ḳhayāl-e-yār baqī hai
dil-e-afsurda goyā hujra hai yūsuf ke zindāñ kā
baġhal meñ ġhair kī aaj aap sote haiñ kahīñ warna
sabab kyā ḳhwāb meñ aa kar tabassum-hā-e-pinhāñ kā
nahīñ malūm kis kis kā lahū panī huā hogā
qayāmat hai sarishk-ālūda honā terī mizhgāñ kā
nazar meñ hai hamārī jāda-e-rāh-e-fanā 'ġhālib'
ki ye shīrāza hai aalam ke ajzā-e-pareshāñ kā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.