said-e-nigah-e-naz mein aawaz kahan hai
said-e-nigah-e-nāz meñ āvāz kahāñ hai
ye kaun batā.e nigah-e-nāz kahāñ hai
duniyā mirī ham-rañg-o-ham-āvāz kahāñ hai
laanā vo mirā soz-bharā saaz kahāñ hai
ab fursat-e-nazāra hai sahrā-o-chaman meñ
ab dast-e-junūñ ḳhāna-bar-andāz kahāñ hai
anjām-e-vafā aur ye ālām-e-musalsal
vo ishrat-e-yak-lamha-e-āġhāz kahāñ hai
'sīmāb' kahāñ huuñ maiñ kareñ ġhaur na is par
ahbāb ye dekheñ mirī āvāz kahāñ hai
said-e-nigah-e-naz mein aawaz kahan hai
ye kaun batae nigah-e-naz kahan hai
duniya meri ham-rang-o-ham-awaz kahan hai
lana wo mera soz-bhara saz kahan hai
ab fursat-e-nazara hai sahra-o-chaman mein
ab dast-e-junun KHana-bar-andaz kahan hai
anjam-e-wafa aur ye aalam-e-musalsal
wo ishrat-e-yak-lamha-e-aghaz kahan hai
'simab' kahan hun main karen ghaur na is par
ahbab ye dekhen meri aawaz kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.