hai etidal sa chaman-e-rozgar mein
hai e'tidāl sā chaman-e-rozgār meñ
ab ke ḳhizāñ sharīk hai fasl-e-bahār meñ
ab tak hai jin kī yaad dil-e-sabza-zār meñ
aise bhī chand phuul khile the bahār meñ
maiñ huuñ qafas meñ aur mere ġham meñ bāġhbāñ
koī nahīñ sharīk vidā'-e-bahār meñ
'sīmāb' ye ġhazal nahii. gulbāñg-e-shauq hai
ik giit likh diyā hai zabān-e-bahār meñ
hai e'tidal sa chaman-e-rozgar mein
ab ke KHizan sharik hai fasl-e-bahaar mein
ab tak hai jin ki yaad dil-e-sabza-zar mein
aise bhi chand phul khile the bahaar mein
main hun qafas mein aur mere gham mein baghban
koi nahin sharik wida'-e-bahaar mein
'simab' ye ghazal nahi gulbang-e-shauq hai
ek git likh diya hai zaban-e-bahaar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.