braham mizaj-e-alam-e-imkan hai aaj-kal
braham mizāj-e-ālam-e-imkāñ hai āj-kal
jo mutma.in hai vo bhī pareshāñ hai āj-kal
ye intihā-e-gardish-e-daurāñ hai āj-kal
insāñ kā ḳhuun ḳhaak se arzāñ hai āj-kal
shorish gah-e-hayāt kī āvezisheñ na pūchh
dil se dimāġh dast-o-garebāñ hai āj-kal
kāñToñ ke sar haiñ ḳhuun kī bārish se lāla-gūñ
rañgīñ bisāt-e-dasht-o-bayābāñ hai āj-kal
tārīkH-e-asr yaad karegī tamām umr
'sīmāb' jis adā se ġhazal-ḳhvāñ hai āj-kal
braham mizaj-e-alam-e-imkan hai aaj-kal
jo mutmain hai wo bhi pareshan hai aaj-kal
ye intiha-e-gardish-e-dauran hai aaj-kal
insan ka KHun KHak se arzan hai aaj-kal
shorish gah-e-hayat ki aawezishen na puchh
dil se dimagh dast-o-gareban hai aaj-kal
kanTon ke sar hain KHun ki barish se lala-gun
rangin bisat-e-dasht-o-bayaban hai aaj-kal
tarikH-e-asr yaad karegi tamam umr
'simab' jis ada se ghazal-KHwan hai aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.