Font by Mehr Nastaliq Web

tere sagon mein jo mera shumar ho jae

Shabbir Sajid Mehrvi

tere sagon mein jo mera shumar ho jae

Shabbir Sajid Mehrvi

MORE BYShabbir Sajid Mehrvi

    tere sagoñ meñ jo merā shumār ho jaa.e

    ye ḳhāksār bhī phir tājdār ho jaaye

    milā hai soz-e-bilāl-o-uvais ko jis se

    nazar idhar bhī vahī ek baar ho jaaye

    ḳhizāñ nasīb hoñ barse idhar bhī abr-e-karam

    mere bhī ujḌe chaman meñ bahār ho jaa.e

    ilāhī mujh ko nahīñ ārzū-e-ḳhuld-e-barīñ

    mere nasīb meñ un dayār ho jaa.e

    sunā hai un karīmī balā.eñ letī hai

    gunahgār agar sharmsār ho jaa.e

    tere sagon mein jo mera shumar ho jae

    ye KHaksar bhi phir tajdar ho jaye

    mila hai soz-e-bilal-o-uwais ko jis se

    nazar idhar bhi wahi ek bar ho jaye

    KHizan nasib hon barse idhar bhi abr-e-karam

    mere bhi ujDe chaman mein bahaar ho jae

    ilahi mujh ko nahin aarzu-e-KHuld-e-barin

    mere nasib mein un ka dayar ho jae

    suna hai un ki karimi balaen leti hai

    gunahgar agar sharmsar ho jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now