Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

yar KHud jalwa-numa tha mujhe malum na tha

Shah Fida Hussain Faiyazi

yar KHud jalwa-numa tha mujhe malum na tha

Shah Fida Hussain Faiyazi

MORE BYShah Fida Hussain Faiyazi

    yaar ḳhud jalva-numā thā mujhe ma'alūm na thā

    ġhuncha-o-gul meñ basā thā mujhe ma'alūm na thā

    ḳhud gulshan banā aur ḳhud banā ġhuncha-o-gul

    ḳhud bulbul vo banā thā mujhe ma'alūm na thā

    shakl-e-ahmad hai haqīqat meñ ahad sūrat

    parda-e-mīm paḌā thā mujhe ma'alūm na thā

    kah ke fī-anfusikum us ne batāyā mujh ko

    ḳhāna-e-dil meñ chhupā thā mujhe ma'alūm na thā

    faiz se ‘bāqī-o-‘fayyāz’ ke samjhā hai 'fidā'

    varna ye bhed chhupā thā mujhe ma'alūm na thā

    yar KHud jalwa-numa tha mujhe ma'alum na tha

    ghuncha-o-gul mein basa tha mujhe ma'alum na tha

    KHud hi gulshan bana aur KHud hi bana ghuncha-o-gul

    KHud hi bulbul wo bana tha mujhe ma'alum na tha

    shakl-e-ahmad hai haqiqat mein ahad ki surat

    parda-e-mim paDa tha mujhe ma'alum na tha

    kah ke fi-anfusikum us ne bataya mujh ko

    KHana-e-dil mein chhupa tha mujhe ma'alum na tha

    faiz se ‘baqi-o-‘fayyaz’ ke samjha hai 'fida'

    warna ye bhed chhupa tha mujhe ma'alum na tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now