Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

gur ki kirpa jab bhai mo par

Shah Kazim Qalandar

gur ki kirpa jab bhai mo par

Shah Kazim Qalandar

MORE BYShah Kazim Qalandar

    gur kirpā jab bha.ī mo par

    tab ghar meñ aayo piyā mere

    aas lagī rahī kab morī

    ab piyā aayo niyare mere

    hit soñ aay gare soñ laago

    ai bal jā.ūñ piyā maiñ tere

    parghaT gupt dūsar nahīñ paayā

    jab se bhaye Bāsit ke chere

    aay smāyo piyā more hih meñ

    chhāḌat naahī sāñjh sakere

    itnī araj maan 'kāzim'

    sadā banā rah mere Dere

    ghaḌī-ghaḌī sudh chhūTe jāsoñ

    tarauñ aap tārauñ bhatere

    gur ki kirpa jab bhai mo par

    tab ghar mein aayo piya mere

    aas lagi rahi kab ki mori

    ab piya aayo niyare mere

    hit son aay gare son lago

    ai bal jaun piya main tere

    parghaT gupt dusar nahin paya

    jab se bhaye Basit ke chere

    aay smayo piya more hih mein

    chhaDat nahi sanjh sakere

    itni araj man 'kazim' ki

    sada bana rah mere Dere

    ghaDi-ghaDi sudh na chhuTe jason

    taraun aap taraun bhatere

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now