Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ye hum dekha ajab tamasha

Shah Kazim Qalandar

ye hum dekha ajab tamasha

Shah Kazim Qalandar

MORE BYShah Kazim Qalandar

    ye ham dekhā ajab tamāsha

    ghaT ghaT paayā vahī baasā

    ek din gurū dayā bha.ī ham par

    Tuk rahā manau ḳhulāsa

    sab sansār gayo ghul jaise

    jal meñ ghulat batāsā

    tab ham jaanā vahīñ haiñ Thākur

    sab jag un daasā

    gayo bharam sansār sab

    bhayo hirdai se naasā

    kahā rahe sansār ab man meñ

    rahī vahī aasā

    nirgun aur niranjan pyārā

    aap rahe 'kāzim' paasā

    ye hum dekha ajab tamasha

    ghaT ghaT paya wahi ka basa

    ek din guru ki daya bhai hum par

    Tuk raha manau KHulasa

    sab sansar gayo ghul jaise

    jal mein ghulat batasa

    tab hum jaana wahin hain Thakur

    sab jag un ki dasa

    gayo bharam sansar ka sab hi

    bhayo hirdai se nasa

    kaha rahe sansar ab man mein

    rahi wahi ki aasa

    nirgun aur niranjan pyara

    aap rahe 'kazim' pasa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now