apna mahram jo banaya tujhe main jaanta hun
apnā mahram jo banāyā tujhe maiñ jāntā huuñ
mujh se muñh phir kyuuñ chhupāyā tujhe maiñ jāntā huuñ
tū agar bhūlā to bhūlā mirā sāhib mujh ko
maiñ nahīñ tujh ko bhulāyā tujhe maiñ jāntā huuñ
sab zamāna meñ phirā DhūñDhtā mahbūb koī
nahīñ tujh-sā nazar aayā tujhe maiñ jāntā huuñ
bad huuñ yā nek huuñ maiñ terā tū merā hāfiz
tujh ko paayā ḳhudā paayā tujhe maiñ jāntā huuñ
mil na mil mujh se merī sun yā na sun bol na bol
dil meñ mere tū samāyā tujhe maiñ jāntā huuñ
kaaTh kī putlī ko jis tarh se bāzīgar ne
nāchā maiñ jaisā nachāyā tujhe maiñ jāntā huuñ
baat karnī yahī behtar hai tujhe ai ‘kHāmosh’
terā banda huuñ ḳhudāyā tujhe maiñ jāntā huuñ
apna mahram jo banaya tujhe main jaanta hun
mujh se munh phir kyun chhupaya tujhe main jaanta hun
tu agar bhula to bhula mera sahib mujh ko
main nahin tujh ko bhulaya tujhe main jaanta hun
sab zamana mein phira DhunDhta mahbub koi
nahin tujh-sa nazar aaya tujhe main jaanta hun
bad hun ya nek hun main tera tu mera hafiz
tujh ko paya KHuda paya tujhe main jaanta hun
mil na mil mujh se meri sun ya na sun bol na bol
dil mein mere tu samaya tujhe main jaanta hun
kaTh ki putli ko jis tarh se bazigar ne
nacha main jaisa nachaya tujhe main jaanta hun
baat karni yahi behtar hai tujhe ai ‘kHamosh’
tera banda hun KHudaya tujhe main jaanta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.