gul hansa to hansa diya kis ne
gul hañsā to hañsā diyā kis ne
royā bulbul rolā diyā kis ne
sham' parvāna ko jalātī hai
sham' kā dil jalā diyā kis ne
ḳhvāb meñ shab ko aa zuleḳhā ke
shakl yūsuf dikhā diyā kis ne
shaiḳh aur barahman nahīñ samjhe
dair-o-kā'ba basā diyā kis ne
aag meñ jab gire ḳhalīlullāh
Daalā kis ne bujhā diyā kis ne
muñh se mansūr ke anal-haq
kahā kis ne sazā diyā kis ne
hai vahī tū samajh le bas 'kHāmosh'
tujh ko fahm-o-zakā diyā kis ne
gul hansa to hansa diya kis ne
roya bulbul rola diya kis ne
sham' parwana ko jalati hai
sham' ka dil jala diya kis ne
KHwab mein shab ko aa zuleKHa ke
shakl yusuf dikha diya kis ne
shaiKH aur barahman nahin samjhe
dair-o-ka'ba basa diya kis ne
aag mein jab gire KHalilullah
Dala kis ne bujha diya kis ne
munh se mansur ke anal-haq
kaha kis ne saza diya kis ne
hai wahi tu samajh le bas 'kHamosh'
tujh ko fahm-o-zaka diya kis ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.