aane de badra kare kare
aane de badrā kaare kaare
jā barseñge pī ke duāre
merā raaz na khol
koyal tū kū-kū mat bol
tere bole jiyrā dhaḌke
manvā tarse nainā phaḌke
manvā hai anmol
koyal tū kū-kū mat bol
kaahe kaarī badriyā aave
jaay pī ke duāre chhā.e
baiTh na man ko khol
koyal tū kū-kū mat bol
dekh koī raaz na jaane
maiñ pahchānūñ tū pahchāne
khol na merā mol
koyal tū kū-kū mat bol
'rāz' piyā bin chain na aave
sagrā joban biitā jāvai
raaz na merā khol
koyal tū kū-kū mat bol
aane de badra kare kare
ja barsenge pi ke duare
mera raaz na khol
koyal tu ku-ku mat bol
tere bole jiyra dhaDke
manwa tarse naina phaDke
manwa hai anmol
koyal tu ku-ku mat bol
kahe kari badriya aawe
jay pi ke duare chhae
baiTh na man ko khol
koyal tu ku-ku mat bol
dekh koi raaz na jaane
main pahchanun tu pahchane
khol na mera mol
koyal tu ku-ku mat bol
'raaz' piya bin chain na aawe
sagra joban bita jawai
raaz na mera khol
koyal tu ku-ku mat bol
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.