ye kaun aa gaya hai nazar to uThana
ye kaun aa gayā hai nazar to uThānā
ki rañgīñ huā jā rahā hai zamāna
fazā.eñ mo'attar huī jā rahī haiñ
havāoñ kā andāz hai muslihāna
ye chehra hai yā māhtāb-e-tamāmī
ye 'āriz haiñ yā rañg kā hai ḳhazāna
laboñ par hai lā'l-e-badaḳhshāñ kā 'ālam
jinheñ dekh kar kho rahā hai zamāna
zahe tāb-e-dandāñ ḳhushā rañg-e-dandāñ
unhīñ kī chamak se huā dil nishāna
vo nazreñ ki jin meñ sad andāz-e-afsōuñ
vo gesū ki jo haiñ shabīh-e-shabāna
vo āñkheñ jinheñ sāġhar-o-jām kahiye
yagāna haiñ lekin nahīñ haiñ yagāna
vo paikar ke jo rashk sarv-e-sahī hai
vo raftār-e-pāmāl jis se zamāna
tabassum qayāmat nigāheñ qayāmat
har andāz kā hai qayāmat bahāna
vo andāz nāzuk ki jis par tasadduq
mirī ārzū-e-dilī kā fasāna
ye ai 'rāz' maiñ rāz-e-dil kah rahā huuñ
zamāna samajhtā hai us ko fasāna
ye kaun aa gaya hai nazar to uThana
ki rangin hua ja raha hai zamana
fazaen mo'attar hui ja rahi hain
hawaon ka andaz hai muslihana
ye chehra hai ya mahtab-e-tamami
ye 'ariz hain ya rang ka hai KHazana
labon par hai la'l-e-badaKHshan ka 'alam
jinhen dekh kar kho raha hai zamana
zahe tab-e-dandan KHusha rang-e-dandan
unhin ki chamak se hua dil nishana
wo nazren ki jin mein sad andaz-e-afsooun
wo gesu ki jo hain shabih-e-shabana
wo aankhen jinhen saghar-o-jam kahiye
yagana hain lekin nahin hain yagana
wo paikar ke jo rashk sarw-e-sahi hai
wo raftar-e-pamal jis se zamana
tabassum qayamat nigahen qayamat
har andaz ka hai qayamat bahana
wo andaz nazuk ki jis par tasadduq
meri aarzu-e-dili ka fasana
ye ai 'raaz' main raaz-e-dil kah raha hun
zamana samajhta hai us ko fasana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.