jab se ki pila di hai ai saqi-e-mastana
jab se ki pila di hai ai saqi-e-mastana
Shah Taqi Raaz Barelvi
MORE BYShah Taqi Raaz Barelvi
jab se ki pilā dī hai ai sāqī-e-mastāna
sūrat banī shāhāna andāz-e-faqīrānā
kyā tujh ko ḳhabar zāhid us ramz-e-haqīqat kī
sad zohd kā hāsil hai ik laġhzish-e-mastāna
nazreñ hī pilātī haiñ nazreñ hī chhakātī haiñ
saaqī hai na mai-kash hai sāġhar hai na mai-ḳhāna
jis qalb-e-shikasta kī tum nazr nahīñ lete
sābit thā kabhī ye bhī TuuTā huā paimāna
gar chashm-e-haqīqat ho gar dīda-e-bianā ho
but-ḳhāna hī kā'ba hai hai kā'ba hī but-ḳhāna
ai sham'-e-haqīqat meñ tū kis ko jalātī hai
ḳhud apnī haqīqat se vāqif nahīñ parvāna
ḳhāmoshī hai goyā.ī goyā.ī hai ḳhāmoshī
maiñ 'rāz' samajhtā huuñ rāz-e-dar-e-jānāna
jab se ki pila di hai ai saqi-e-mastana
surat bani shahana andaz-e-faqirana
kya tujh ko KHabar zahid us ramz-e-haqiqat ki
sad zohd ka hasil hai ek laghzish-e-mastana
nazren hi pilati hain nazren hi chhakati hain
saqi hai na mai-kash hai saghar hai na mai-KHana
jis qalb-e-shikasta ki tum nazr nahin lete
sabit tha kabhi ye bhi TuTa hua paimana
gar chashm-e-haqiqat ho gar dida-e-biana ho
but-KHana hi ka'ba hai hai ka'ba hi but-KHana
ai sham'-e-haqiqat mein tu kis ko jalati hai
KHud apni haqiqat se waqif nahin parwana
KHamoshi hai goyai goyai hai KHamoshi
main 'raaz' samajhta hun raaz-e-dar-e-jaanana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.