vo na aa.e raat guzrī aur sahr hone lagī
zindagī manzil ba-manzil muḳhtasar hone lagī
ibtidā vo thī ke poshīda thā dil meñ dil kā raaz
intihā ye hai ke duniyā ko ḳhabar hone lagī
ḳhauf thā braham na ho jaa.e mohabbat kā mizāj
ehtiyātan har tamannā muḳhtasar hone lagī
raunaqeñ le kar mere ghar kī ruḳhsat ho ga.e
be-kasī naqsh-o-nigār-e-bām-o-dar hone lagī
she'r kahte vaqt 'shā.ir' aa ga.ī jab un kī yaad
huuk ik siine meñ uTThī aañkh tar hone lagī
wo na aae raat guzri aur sahr hone lagi
zindagi manzil ba-manzil muKHtasar hone lagi
ibtida wo thi ke poshida tha dil mein dil ka raaz
intiha ye hai ke duniya ko KHabar hone lagi
KHauf tha braham na ho jae mohabbat ka mizaj
ehtiyatan har tamanna muKHtasar hone lagi
raunaqen le kar mere ghar ki ruKHsat ho gae
be-kasi naqsh-o-nigar-e-baam-o-dar hone lagi
she'r kahte waqt 'shair' aa gai jab un ki yaad
huk ek sine mein uTThi aankh tar hone lagi
Videos
This video is playing from YouTube
Bakhshi Salamat Ali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.