karam saqi-e-kausar jo ba-dastur rahe
karam sāqī-e-kausar jo ba-dastūr rahe
chashm-e-mai-kash meñ kHumār-e-mai-e-mansūr rahe
raushnī badr ke zarroñ kī sar-e-tūr rahe
chāñd bar-kaf-e-kalas rauza-e-pur-nūr rahe
mujh ko yā-rab ho 'atā hausla-e-chasm-e-kalīm
tā-abad jalvā-fishāñ barq-e-sar-e-tūr rahe
tū qarīb-e-rag-e-jāñ hai ye ġharz hai us se
ki gunāhgār na rahmat se terī duur rahe
karam saqi-e-kausar jo ba-dastur rahe
chashm-e-mai-kash mein kHumar-e-mai-e-mansur rahe
raushni badr ke zarron ki sar-e-tur rahe
chand bar-kaf-e-kalas rauza-e-pur-nur rahe
mujh ko ya-rab ho 'ata hausla-e-chasm-e-kalim
ta-abad jalwa-fishan barq-e-sar-e-tur rahe
tu qarib-e-rag-e-jaan hai ye gharz hai us se
ki gunahgar na rahmat se teri dur rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.